Wednesday, January 21, 2015

Ha, shayad zinda hu main............

Ha, shayad zinda hu main
Saanse chal rahi hai
Nabj bhi kamjor nahi
Muthhiya bheechi to hai
Iraade kuchh der aur sahi

Umeedo ke jugnu ab bhi
Aankho mein chamakte to hai
Kisi khoye musafir ki tarah
Ashk do pal thaharte to hai

Duniya kahti hai
kya khoob jiya hamne
Hum sochte rah gaye
Kya khaak jiya hamne

Apni kashti lehro pe utaari nahi
Saahil pe hi basera kar gaye
Khush mausam ke intezzar mein
Chandani raat ka savera kar gaye.

Par ha shayad zinda hu main...
Umeedo ka daaman abhi chhoota nahi
Iraade bikhre jaroor hai, par
Man ka bishwas abhi toota nahi.

Sunday, December 16, 2012

Why I dream ?

I dream , I dream, I dream........
I know the dreams are fragile
Still I want to cherish the moments
which will last only for a while.

What if there is no happy ending to it
What if there is no conclusion
For two hearts to smile together
Why in the world there should be a reason.


Wednesday, November 28, 2012

jadd-o-jahad

in aankho se dhundh kyu hat-ti nahi
tere pyaar ki dor mujhse kat-ti nahi
jis mod se hamein tha laut jaana
wo raahe ab kyu nikalti nahi

ab chaahe jo bhi le hum faisle
apni hasarato se be-imaani hogi
chaahat mein kar le buland hausle
par anzaam-e-mohabbat wahi poorani hogi

Wednesday, October 17, 2012

aapka khat

padh ke aapka khat
do ashko se rub-ru ho liye hum
gham-e-ishq ka ilm hame pahle hi tha
tere dard se bhi mukhatib ho liye hum

tu hame chaahe ya na chaahe
kab ispe mera zor raha hai
ye bin sholo ki tapish hai
ye bin bayaar ki hawaa hai

yu zameen se utha ke hame
falak pe na sajaao
bas ik rahguzar hu main
mujhe manjil na banao

Thursday, June 7, 2012

umeedo ka silsila

mere zakhmo ko marham mile
ye koi umeed na thi tujhse ... zindagi
par tu unhe naasoor bana degi, iska bhi ilm na tha....

Tuesday, January 24, 2012

ranjishe is dil mein

kitni ranjishe paale hum dil mein
kitne gunhaao ko maaf kaare ?
lagaate raha koi daag lahoo ke
kab tak hum ashko se saaf kare.

jo katl hua wo na apna tha na paraya tha
jaane kyu fir bhi wo mera hi ek saaya tha.
uthe rahe akhiri dum tak haath raham ki bheekh mein
kaatil koi gair nahi mera apna hi hum-saaya tha.

Thursday, July 16, 2009

akhir kya hai mohabbat..............

ek se nijaat paata hoo
duje mein fans jaata hoo
manjil ke itne paas pahuch
fir raaho mein kho jaata hoo


tujhse jo mil jaaye wo azeez hai humko
teri be-rukhi ko bhi yu gale lagaata hoo
ab shaayad kuchh bachaa nahi mujh mein
tujh mein kho ke, khud ko yu tanha paata hoo


meri baanto ko samjhe tu, hai itna waqt kaha
ek ek lamhe ka yu mohtaaz ho jaata hoo
chalti rahe zindagi aur milti rahe tu yu hi
shayad yahi hai mohabbat, dil ko main smajhaata hoo