Monday, January 5, 2009

mausam-e-mohabbat

wo jo ghataa ban ke chaaye the
teri zulfo ke hi saaye the
ik bijli si chamki thi kahii
maine aankho ke jugnoo jalaaye the

ik hawa ka jhonka aaya
tujhe mujhse door le chala
jo baarisho ka manjar tha fir
wo maine hi ashk bahaaye the

jab tak raat ne aankhen na moondi
fizaa bheegti hi rah gayi
jaane in aankho mein hamne
kitne samundar chupaaye the

subah jaise ek bahaar le ke aayi
tu fir se mere ruburu thi
mere sune aasmaan mein zami rango ki mehfil
indra-dhanush ke yu sabhie rang chhaye the