Thursday, July 16, 2009

akhir kya hai mohabbat..............

ek se nijaat paata hoo
duje mein fans jaata hoo
manjil ke itne paas pahuch
fir raaho mein kho jaata hoo


tujhse jo mil jaaye wo azeez hai humko
teri be-rukhi ko bhi yu gale lagaata hoo
ab shaayad kuchh bachaa nahi mujh mein
tujh mein kho ke, khud ko yu tanha paata hoo


meri baanto ko samjhe tu, hai itna waqt kaha
ek ek lamhe ka yu mohtaaz ho jaata hoo
chalti rahe zindagi aur milti rahe tu yu hi
shayad yahi hai mohabbat, dil ko main smajhaata hoo

Monday, June 8, 2009

nasha.........

wo poochte hai har baat pe 'mujhse unse kya hai'
kaise bataao unhe ki wo hi meri duniya hai
apne ghamo ko bhool baithe hai hum unki chaahat mein
unka ik deedar hi is dil ki aakhiri tamanna hai

ye ibaadat ye parishtish sab bekaar se samaan lagte hai
ye mandir ye masjid sab majhab ke dukaan lagte hai
is dil mein bas gaye hai wo is tarah
har gali mein mujhe bas unke hi makaan dikhte hai

Monday, April 13, 2009

jab mujhse milne aana tum

jab mujhse milne aana tum
phool palaash ke laana tum
bada khusk hai is shehar ka mausam
apne labo ka shabnam de jaana tum

jab mujhse milne aana tum
phool palaash ke laana tum
fiza mein kho jaaye khusboo
yu teshu bikhraana tum

jab mujhse milne aana tum
phool palaash ke laana tum
jaane kab se pyaase ho
yu aannkho se peelana tum

jab mujhse milne aana tum
phool palaash ke laana tum
bas ek baar pehan lena
meri saanso ki maala tum

Monday, January 5, 2009

mausam-e-mohabbat

wo jo ghataa ban ke chaaye the
teri zulfo ke hi saaye the
ik bijli si chamki thi kahii
maine aankho ke jugnoo jalaaye the

ik hawa ka jhonka aaya
tujhe mujhse door le chala
jo baarisho ka manjar tha fir
wo maine hi ashk bahaaye the

jab tak raat ne aankhen na moondi
fizaa bheegti hi rah gayi
jaane in aankho mein hamne
kitne samundar chupaaye the

subah jaise ek bahaar le ke aayi
tu fir se mere ruburu thi
mere sune aasmaan mein zami rango ki mehfil
indra-dhanush ke yu sabhie rang chhaye the